Saturday, September 01, 2007

Poem - Hindi - Kuchh Azeeb

Kuchh azeeb se hain mere dil ke andaaz,
Ki ye saaf saaf mujhse kuchh kahata hi nahin hai
Kuchh ishare se karata hai, kuchh nishaan se banata hai
Main poochata hoon kya hai to kuchh paheliyan si bujhata hai
Na zane ye mujhase khelata hai ya khud ko chhalata hai
Jab der ho jati hai, to khud hi to jar-jar rota hai

Kuchh azeeb sa hai ye insaan, kuchh samajhata hi nahin hai
Main kahata hoon yahan thahar ja, yahi basar kar, to hans sa parata hai,
Hataash main haath uthata hoon, to samajhata hai main ishara sa karata hoon
Door dikhati hain chiranga, to poochhata hai chal chalein kis ki taraf
Niraash main haath ghumata hoon to samajhata hai nishaan se banata hoon
Phir thak sa para main, to rone laga jar-jar
Samjhega mere dost ya bhatakega yuhin bar-bar…

Are, mat ro mere yaar, main le chalata hoon tujhe kahin aur,
Naya hoga manzar, nirali hogi wahan ki har baat
Bas afsos rehaga mujhe ki na samajhata hoon main teri zabaan
Aur har baar ki tarah phir mazboor ye dohrata hoon
Kuchh azeeb se hain mere dil ke andaaz,
Ki ye saaf saaf mujhse kuchh kahata hi nahin hai
Kuchh ishare se karata hai, kuchh nishaan se banata hai
Main poochata hoon kya hai to kuchh paheliyan si bujhata hai ……….

No comments: