Saturday, September 01, 2007

Poem - Hindi - U Stopped to Move..

Path par chalata, chalata jata,
Chalate-chalate thak sa jata,
Thak kar phir kuchh baith gaya yun,
Samay ko rakh kar bhool gaya jyon..

Chala sagar sab manthar gati se,
main na nikala apni rati se,
poochha kiye sab log hua kya,
chalata pahiya rok diya kyon

main bola ki thaka nahin hoon
kya kahate ho? ruka nahin hoon..
raah main kuchh chhor chala tha
uski baat joh raha hoon…

tan bhaga tha, man peechhe-peechhe
chhot gaya wo door kahin par
uske bina sab sapane jhoote
mati ke jas bartan toote

aayega wo mujhse milane,
mere udhare din-raat ko silane
tanka laga kar gaanth badhoonga
phir hardam bas saath chaloonga

thora dheema, thora ruk-ruk
bojh se jaoon shayad thora jhuk bhi
par usmain bhi anand milega
jitna bhi ho poorna lagega..

No comments: