Saturday, September 01, 2007

Poem - Hindi - Kis dagar

Jane kis dagar ko chale the, jane kaun nagar pahunche
Jane kisko dhoodh rahe the, jane kiske dar pe thahre

Anjaani si shaam suhani, dhomil-madhdhim si kuchh thi
Yauvan main kuchh choor se the, bachpan sa kuchh dhoondh rahe the

Pag thamate the nazar nahin par, badan yahi tha man door kahin par
Chhaya ko chit pakar raha tha, usko asli roop samajhkar

Khud ko chhalate aur machalate, aisa hi kuchh khel rahe the
Kuchh kuchh to ham jeet rahe the, lekin sab kuchh haar chuke the

Timir vikat tha, man asmanjas main, rah pe ek bin mor khare the
Chalana tha par ruke huye the, karan sa kuchh dhoondh rahe the

Vyarth gaya yun samay bahut sa, chalate chalate oob chuke the
Man bola chal ghar chalate hain, uska pata par bhool chuke the

Yauvan main kuchh choor se the, bachpan sa kuchh dhoondh rahe the…..

No comments: