---------------------------------------------------------------------------------------------
(Written before the first break at IIMA)
Off I go, Out of the woods
towards the hill, where moon resides
O Sun, when you rise tomorrow
You will have a dull day at work
For I wont be there to greet you anymore...!!!
-----------------------------------------------------------------------------------------------
some say I am intelligent, I think I am genius
some say I am witty, I think I am hilarious
some say I am sensitive, I think I am adorable
some say I am humble, I think I am bored
Rest say, You little moron and I say.. “How the hell did they find out…”
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Abke jo ura hai man, to na jane kis mor pe thahrega
Kisi shaakh pe baithega ya kisi raah pe girega
Ek haath sa badhaya kisi ne, ek ahsas sa karaya kisi ne
Sir ghutanon main daba baitha tha, jab naam le bulaya kisi ne
-------------------------------------------------------------------------------------------------
ghalib nikale the ghar se bahar sookhate kapre utarane
duniya ne madad yun ki, jo pahane the wo bhi utaar diye
hamne urdu main sher sunaya, to wo kahane lage u are crazy..
bhai hamne to yun hi kah diya kuchh.. aap to marane lage angrezi
naati banaa diya kham-kha main hamein ghalib ka,
ghalib bhi pareshaan hai, mere dada bhi naraaz ho gaye
hamne unse kaha ki ham besahara hain,
to wo bole sahara ki flight shaam ko hai
HAIN wo kuchh juda se aur thore se gumshuda se,
jake unhain bula do, warna mil jayenge ham khuda se
wo hamse poochhte hain ki ye wafa kaun hai,
tum hi unhain bata do ki ham batayein kya
Ye husn ye badan ye jawani ki mahak, chaar din rahegi
meri aashiqui main rang ke dekh, umar bhar saath degi
Tera budhapa tujhe saath de raha hai bachpan se
Tu kis-kis ke bachpan ko jodega apne pachpan se
maana thora sang dil hai, seene main fadakate jazbaat nahin..
par aap bulayein ham na aayein, aise bhi bure halaat nahin..
kuchh unhone aazmaaya nahin, kuchh hamne bataya nahin..
kudarat bhi kuchh ajeeb hai, kabhi usne milaya hi nahin..
kuchh unhone aazmaaya nahin, kuchh hamne bataya nahin..
donon tarasate rah gaye, taqdeer ne milaya hi nahin
kah diya unhone hamko bihari, laga gayee baat dil ko ye bhari..
bhai saryu-teere rahate hain, ham hain lucknow ki umda kalakaari..
------------------------------------------------------------------------------------
Kabhi sochata hoon main kuchh kahoon
Kabhi Sochata hoon main chup rahoon
Kabhi sochata hoon thora intelligent lagoon
phir sochata hoon jo hoon wo kyon banoon
ye bhi socha ek baar ki kuchh shayar sa banoon
koshish kar bhi na ban paya to kya karoon
Phir kuchh socha phir aur bhi socha
sochate sochate na sochane ka bhi socha
sab soch kar phir kuchh kar gujarane ka socha
kar gaya jo sab to kuchh na karane ka bhi socha
bahut din huye maine kuchh bhi naya hai na socha
main khush hoon ya gum hoon ye bhi hai na socha
main khush to hoon par nahin bhi hoon shayad
kyon sar khapaoon hai ye bekar ki kawayad
Main chalata hoon mad-mast jaise chalata hai chakka
bina soch kar bhi lagata hai kuchh socha hai pakka...
---------------------------------------------------------------------
if the game sucks I will play it
if it pays too well i will chuck it
I want everything but need nothing
cant say what but will be something
if you can like me I will love you back
if you hate me i will hold you and ask why
if you look at me and turn away I will cry
and I will do so till they run dry
when I chose to run will run too fast
I may not be first but will never be last
(poem not complete yet.. )
Saturday, September 01, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment