Thora sa main tanha tha, thora tha akela
Kuchh kuchh sabke jaisa tha, aur thora albela..
Urata tha yun hi pag-pag, badla karata tha bas har pal,
Aisa mujhko lagata tha par, tha main baitha bas jar hokar
Badala jata tha sab nabh-antar, gayab hote drishya jyon chho-mantar,
Mujhko kuch ahsaas sa tha par, kya chhota abhaas na tha
Patthar jaan mujhko sabne, dhakel diya phir door sarak par,
Ludhka kiya kuchh door yuhin main, phir jaga navchetan hokar
Aakhein khol jab khara hua main, drishya dekh kuchh dahal gaya main,
Ye to mera swapan nahin tha, swapan mera phir satya nahin tha…
Main hi main tha mere swapn main, yahan the sab par swayam nahin tha
Aakhein meechi aur daur para main, swapn bhula bas jyon jiya main
Is gati se main kab tak chalata, swapn ka aadi kab tak jagata,
Khuli aankh se sapana dekh raha hoon, usko jeena seekh raha hoon..
Saturday, September 01, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment